Milad e Mustafa
Quran:
Allah Ta’ala, Quran E Majeed Mein Irshad Farmata Hai: “Allah Ke Fazal Aur Uski Rehmat Per Khoob Khushiya Manao”
[ Surah E Yunus : Ayaat No. 58 ]
Isi Tarha Allah Tala Ek Aur Makam Per Irshad Farmata Hai: “Aur Tum Per Allah Ki Naimato Ka Khoob Zikr Karo”
[ Surah E Baqra : Ayaat No. 231 ]
Isi Tarha Allah Tala Ek Aur Makam Per Irshad Farmata Hai Ke : “Apne Rab Ki Naimato Ka Khoob Charcha Karo”
[ Surah E Doha : Ayaat No. 11 ]
In Ayaat E Mazkoora Mein Allah Tala Ne Mut’tla’kan Har Naimaat Aur Rahmat Per Khushi Ka Hukm Diya Hai, Is Literature Ko Parhne Wale Tamam Logo Se Yeh Sawal Hai Ke “ Jab Har Kisam Ki Rahmat Aur Fazal Per Khushi Ka Hukm Hai To Aisi Rahmat Per Khushi Manane Ke Bare Mein Aapka Kya Khiyal Hai , Ke Woh Rahmat Aur Fazal Ek Ya Chandh Afraad Ya Sirf Insaano Per Hi Naa Ho Balke Uski Rahmat Ka Daairaa , Tamam Hai’wanat ( Animals, Birds Etc ) , Jamada’ad ( Bejaan Cheese ) , Nabadaat ( Plants ) , Charindh O Parind Aur Tamam Alaaameen Per Ho…. ?” Yakeenan ! Har Ba-sha’uor Insaan Ka Jawab Yeh Hi Hoga Ke Aisi Aaalishaan Naimaat Per To Be-intehaa Khushi Manani Chahiye , Per Aise Azeem E Shaan Rahmat Hai Kaun ??? Aiye Dekhe Quran Kya Kehta Hai… Allah Tala Khud Aapni Sab Se Azeem Rahmat Ki Taraf Humari Rehnumai Farmate Hue Irshad Farmata Hai Ke,“ Aur Nahi Bheja Humne( Ae Mehboob )Aapko Magar Rahmat Saare Jahan Ke Liye “
[ Surah E Ambiya : Ayaat : No. 108 ]
To Pata Chala Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Hi Rab’tala Ki Aisi Azeeem Naimat Aur Rahmat Hai Ke Jiske Husool Aur Wiladat (birth) Per Jis Qadr Khushi Mania Jaye Kam Hai. Milad Ki Haqeeqat Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Wiladat Per Khush Hona Hi To Hai. Aur Mehfil E Milad Ka Maqsad Aap Ki Wiladat Aur Parwarish Se Mutalliq Wakiyat Aur Aapki Fazail o Kamalat Wa Moojizat Ke Bayan Ke Zariye Musalman’o Ki Deen Ki Taraf Raghbaat Rakhna Aur Ishq E Rasool ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ko Badhana ( Increase ) Hai, Ab Chahe Khushi Ka Izhaar Chandh Ek Afraad Aleda Kare Ya Tamam Afraad Ek Jagah Jama Ho Kar Aapni Mulk Ki Aur Commi Sakafat Ke Aitebaaar Se Kare, Is Me Koi Harz Nahi , Shart Yeh Hai Ke Kisi Mamno O Haraam Kaam Ka Irtekaab Na Kiya Jaye.
Jaisa Ka Tafseere Ruhul Bayan Mein Ayaat “ Muhammaddur Rasool Allah ” Ke Tehet Yeh Bayan Kiya Gaya Hai Ke,“ Milad Sharif Karna Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Taazeem Hai, Jab Ke Woh Buri Baato Se Khali Ho” Imam Siyuti Farmate Hai Ke Hum Ko Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Wiladat Per Shukr Ka Izhaar Karna Mustaahab Hai.
[ Tasfeere Ruhul Bayan : Para 26 : Surah Al Fat : Ayaat : Muhammaddur Rasool Ullah ]
Milad Per Khushi Manane Ki Barkat Per Sahih Bukhari Ki Ek Riwayat Yeh Bhi Hai Ke, Abu Lahab Jo Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ka Chacha Tha, Us Ne Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Wiladat Ki Khabar Us Tak Puhuchane Wali Londi, Jo Ke Uska Maal Tha, Wiladat Ki Khushi Mein Azaad Kr Diya. Is Amal Ki Jazaa Yeh Mili Ke Marwi Hai Ke, Jab Abu Lahb Marr Gaya To Usko Uske Ghar Walo Ne Khuwab Mein Bure Haal Mein Dekha, Pocha Kya Guzri, Abu Lahb Bola “ Tum Se Juda Ho Kar Mujhe Koi Bhalai Nahi Mili, Haan ! Mujhe Is Kalme Ki Ugli Se Paani Milta Hai, Kyun Ke Mene Su’ye Baa Londi Ko Azaad Kiya Tha.
[ Sahih Bukhari : Jild 2 : Kitabul Nikkah : Baab – Ummahatukum Al-lati Ardanakum ]
Maskoorah Hadees Se Yeh Baat Roz’ze Roshan Ki Tarha Waaze Ho Jaati Hai Ke Abu Lahb Jaisa Kaafir Mushrik Badhbaak Shakhs Ke Jiski Muzammat Mein Quran Ki Pori Surah E Lahab Naazil Hui, Milad E Mustafa Ki Khushi Aur Us Silsiley Mein Aapna Maal Londi Suyeba Ki Azaadi Ki Sorat Mein Kharch Karne Ke Sabab, Qiyamt Tak Takfeef’fe Azaab Ka Mustahak Ban Gaya To Agar Koi Aashiq e Rasool Musalman Milad Un Nabi Ki Khushi Aapne Quaom’ie Aur Sakafati (Culture) Andaaz Mein Manate Hue Mehfil e Milad Mun’nakkid Kare Aur Aapna Maal Shayri Tareeke Se Sheereni, Niyaaz, Aur Chiraaga Per Kharch Kare To Kyun Iska Yeh Amaal Jayez Aur Sawab Ka Kaam Na Ho ??? Alhumdulilha ! Ollma e Ahle Sunnat Ke Tahet Mun’nakid Mehfil e Milad Ki Tamam Majalis Haram Aur Khurafate Shayariya Se Paak Hoti Hai. Aur Shaz Aur Nadir Kahi Kisi Kisam Ki Khurafat Pai Jaati Ho To Uska Mehfil Se Milad Se Koi Taluk Nahi. Ollama E Sunnat Tehereeran Wa Takakreeran In Buraio Ka Sad’de Baab(Inkaar Karna) Karte Rehte Hai. In Chandh Ek Makamat Ko Mad’de Nazar Rakh Kar Mehfil e Milad Ko Hi Bura Kehna Aur In Mein Shirkat Ko Na Jayez Kehna Jahalat Ke Siwa Aur Kuch Nahi. Aise Ta’asoob Pasand Naam-Nihaad Deeni Logo Se Yeh Suwal Hai Ke Bataye Risk e Halal Kamana Ibadat Hai? Magar Aaj Risk e Halal Kamane Ke Makamat, Dukano (Shopping Centers) Aur Bazaro Mein Mard’o Aurat’o Ka Ikhtilaad, Be-pardagi Jaise Khurafat Aam Hai. To Aap Tamam Dukan Daaro Per Waha Kaarobar Karne Ke Sabab, Haram Ka Hukm Lagao Ge ? Nahi ! Yakeenan Nahi, Aap Jaisa Sahib e Ilm, Zeeshaour, Mizaaje Islam Ko Samjhne Wala Zaroor Kahega Ke Karobaar Khatam Karne Ki Bajaye, Khurafat Ko Khatam Kare. Aur Isse Bachne Per Zoor Diya Jaye. Bus Humara Bhi Yehi Kehna Hai, Ke Kaha Kahi Khurafat Hai, Waha Unka Sad’de Baab Kiya Jaye Na Ke Mehfil e Milad Mun’nakid Karne Ko Hi Haram Aur Shirk Keh Diya Jaye.Al Ayaaaaazubill’laaa .Nisar Teri Chehel Pehel Per Hazar’o Eid e Rabi Un Awwal ,Siway Iblees K Jahan Men Sabhi To Khushiya Mana Rahe Hen.
Sahaba E Karam (Radi Allahu Tala Unhu) Ka Yeh Maamol Raha Hai Ke Ek Dusre Ke Pass Jaa Kar Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ke Paidaish Se Muttaliq Naat Sunne Ki Farmaish Kia Karte The. Maloom Hua Ke Milad Sharif Manana , Sunnat E Sahaba Bhi Hai.
Jaise Ke Hazrat Ata Bin Yasaar Farmate Hai, Ke Mein Hazrat Abdullah Bin Umer Bin Aass (Radi Allahu Tala Unhu) Ke Paas Gaya Aur Arz Kiya Mujhe Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Woh Naat Sunao Jo Ke Touhuret Sharif Mein Hai. Unhone Parhd Kar Sunai, Isi Tarha Hazrat e Qaf (Radi Allahu Tala Unhu) Farmate Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Naat e Pak Touhuret Mein You Paate Hai .. “ Muhammad Allah Ke Rasool Hai, Mere Pasandida Bande Hai, Khush Ikhlaak Hai, Narm Tabiyat Hai, In Ki Wiladat Makkah e Munnavvara Mein Hui, Aur Inki Hijrat Taiba Mein, In Ka Mulk Shaam Mein, Inki Ummat Khuda Ki Bahot Hamd Karegi , Khushi Aur Gham Har Haal Mein Khuda Ki Hamd Karegi”
[ Mishkat : Topic : Fazail E Syeddul Mursalim ]
Milad Sharif Ka Jayez Aur Sawab Ka Kaam Hona Aqaal Ka Takaza Bhi Hai Ke Isme Chandh Faide Bhi Hai:
1) Musalmao Ke Dil Mein Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ke Fazail Sun Kar , Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Muhabbat Badhti Hai.
2) Issi Tarha Mehfil e Milad Ki Barkat Se Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Per Kasrat Se Darood e Paak Pardhne Aur Aap Ki Zindagi Se Mutalliq , Awaam Ko Waqiyat Sunne Ka Maoka Mil Jaata Hai.
3) Yeh Majlis e Pak Ger Muslim’o Mein Deen E Islam Ki Tablig Ka Ek Badha Zariya Bhi Hai. Ke Woh Bhi Isme Sharik Ho , Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Hayyat e Taiyeba Sunne, Islam Ki Khoobiyo Ko Dekhe, Phir Khuda Taufiq De To Islam Bhi Le Aaye.