English : 07/12/24   Hijri : 

Ilm e Ghaib 

Imam Ragib Asahani Rehmatullah ( Sun’e Vafat 502 Hijri) Gaib Ki Tareef Karte Hue Farmate Hai, Lafz’e Ghaib Masdar Hai. Jab Suraj Ankho Se Chup Jaye To Kaha Jata Hai Ke Suraj Gayab Ho Gaya, Aur Gaib Ka Lafz Har Us Poshida Cheez Ke Liye Istemaal Hota Hai Jo Insaani Hiss (Sense) Se Chuppi Ho. Aur Jo Hawas ( Yani Dekhne, Sunne, Sungne, Chakne, Chune ) Se Maloom Na Ho Sakke Aur Naa Hi Akal Ke Goor O Fikr Se Maloom Ho Sakke. Ghaib To Ambiya Aliehi Salam Ke Batane Se Hi Maloom Ho Sakta Hai.
[ Al Mukhradad Alfaaz'ul Quran, Page No. 616]

Lihaaza Pata Chala Jo Poshida Cheez Alaat Ke Zariye Se Maloom Ki Jaye Voh Gaib Nahi. (Maslan , Ultra Sound, Telephone Aur Radio Se Door Ki Awaaz Ka Sunna, Ya Internet Per Milo Door Bethe Shakhs Ko Webcam Ki Madad Se Dekh Lena) Yeh Sab Ghaib Ki Tareef Mein Dakhal Nahi Hota. Lihaaza In Kaamo Ke Liye Lafz E Gaib Janne Ka Word Bhi Use Krna Durust Nahi Hai.

Questions & Answers With Proofs:
Q1) Kya Quran E Pak Mein Allah’tala Ne Ambiya Ke Liye Ilm E Gaib Ka Zikr Farmaya Hai. Ans: Jee Haan, Allah Tala Ne Kahi Makamat Per Nabi’o Ke Liye Gaib Ka Laafz Istemaal Kiya Hai.

Proofs from Quran:
“Ghaib Ka Jaanne Wala To Apne Ghaib Kisi Per Zaahir Nahi Karta Siwaaye Aapne Pasanddida Rasool’o Ke”
[ Surah E Jin Ayaat No. 26 ]

“Aur Allah Ki Shaan Yeh Nahi Ke Aam Logo Tumhe Gaib Ka Ilm De Den, Haan, Allah Chun Leta Hai Aapne Rasool’o Mein Se Jisse Chahe”
[ Surah E Ale Imran Ayaat No. 198 ]

Hazrat Yakoob (Alaihi Salaam) Ne Aapne Beto Ke Samne Is Tarha Rab Ka Shukr Ada Kia Farmaya: “Mein Na Kehta Tha Ke Mujhe Allah Ki Woh Shaane Maloom Hai Jo Tum Nahi Jante”
[ Surah E Yusuf Ayaat No. 96 ]

Hazrat e Essa (Alaihi Salaam) Ne Aapne Ilm’i Mojaze Ka Izhaar Karte Hue Bani Isreel Se Farmaya: “Aur Tumhe Batata Ho Jo Tum Khate Ho Aur Jo Tum Aapne Gharo Mein Jama Rakhte Ho, Beshak In Baato Mein Tumhare Liye Badi Nishaani Hai Agar Tum Emaan Rakhte Ho”
[ Surah E Ahle Imran : Ayaat No. 49 ]

Hazrat Yusuf (Alaihi Salaam) Aapne Ilm’i Mojuze Ka Izhaar Yuh Karte Hai.
Hazrat Yusuf (Alaihi Salaam) Ne Jail Mein Kediyo Se Kaha, “Jo Khana Tumhe Mila Karta Hai Woh Tumhare Pass Na Aayega, Magar Mein Is Ki Tabeer Iske Aane Se Pehle Tumhe Bata Donga. Yeh Un Ilm’o Mein Se Hai Jo Mujhe Mere Rab Ne Seeekhaya Hai”
[ Surah E Yousuf Ayaat No 38 ]

Allah Tala Ne Nabi E Karim Ki Shaan Mein Irshad Farmaya, “Aur Tumhe Seekha Diya Jo Kuch Tum Na Jaante The, Aur Allah Ka Tum Per Bada Fazal Hai”
[ Surah E Nissa Ayaat No. 113 ]

In Ayaat Se Maloom Hota Hai Ke Allah Ne Aapne Rasool’o Ko Ilm E Gaib Ata Farmaya Hai. Is Ka Inkaar Quran Se Inkaar Krna Hai.


Q2) In Ayaat Mein Is Baat Ka Zikr To Nahi Hai Ke Allah Tala Ne Nabi’o Ko Ilm E Gaib Ata Kiya Hai ? Phir Aap Nabio Ke Liye Ilm E Gaib Q Sabit Krte Hai ?
Ans: Ajeeb Baat Hai Ke Quran e Pak Ki In Ayaat Ko Parh Kr Bhi Itna Na Jaan Sakke Ke In Ayaat Mein Allah Ne Nabi’o Ke Gaib K Ilm Ka Zikr Farmaya Hai.

Explaination: Pehli Ayat Mein Bilkul Waaze Farmaya Ke Gaib Ka Jaane Vala Aapna Gaib Kisi Per Zaahir Nai Karta Sirf Rasoolo Per Zahir Krta Hai Isse Tarha Dusri Ayaat Mein Bhi Yehi Farmaya Ke Allah Ki Yeh Shaan Nahi Ke Aam Logo Ko Ilm E Gaib De De, Magar Aapne Rasoolo Ko Chun Leta Hai Aur Ilm E Gaib Deta Hai.

Ahle Sunnat Val Jammat Ka Quran O Sunnat Ki Roshni Mein Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ke Liye Ilm E Ghaib Ka Aqeeda Yeh Hai Ke Nizool E Quran Ke Baad Allah Tabarak Wa Tala Ne “Maa Kana Wama Yakoon’o” Yaani Jo Jo Ho Chuka Tha Aur Jo Jo Hone Vala Hai Qainaat Ki Ebdida Se Qayamat Tak, Mashrig O Magrib, Arsh O Farsh Tamam Waqiyat Ka Ilm Aap Ko Ata Farmaya. Aur Qayamat Aur Uske Baad Ke Mamlat Mein Se Bhi Aap Ko Bahot Zaida Ilm Diya Gaya Hai.

Ala Hazrat In Fatawa e Rizviya : Beshak Nabi e karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ko ALLAH Tala Ne Tamam Awwal’een Wa Akharin ka Ilm Ata Farmaya, Maghrib o Mashrik, Arsh o Farsh, Sab Unhe Dikhaya. Zameen Aur Asamaan Ke Mulk’o Ka Shahid Banaya. Roze Awal Se Roze Akhir Tak Sab “Maa Kana Wamaa Yukunu” Unhe Bataya, In Tamam Cheezo Mein Se Koi Zar’rah Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ke Ilm Se Bahir Na Raha. Ilm E Azim Habib E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) In Sab Ko Muhi’t Hua. Na Sirf Ijma’lan Balke Har Choti Badi Cheez, Har Khushko Taar, Jo Paat’ta Girta Hai Zameen Ki Andheri’o Mein, Jo Daana Kahi Padha Hai, Sab Ko Juda Juda Tafseellen Jann Liya, Aur Allah Hi Ke Liye Tamam Tareef’e Hai.
[Fatava E Raziviya : Risala Imba Ul Mustafa Bilhali Sirriin Akhfa : Jild 29 : Page 486]

Proofs from Ahadees:
Issi Tarha Beshumar Aahadees Se Humara Yeh Aqeeda Sabit Hota Hai Lihaaza Ab Hum Aapko Hadees Ki Moeabar’tareen Kitaab Bukhari Sharif Se Ilm E Gaib E Nabi Se Mutaliq Kuch Hadees’e Bayan Karte Hai. 1) Ilm’e Gaib Tafseeli Daleel: Hazrat E Abu Moosa Ash’hari ( radi allahu anhu ) Se Farmaya Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Se Aise Sawalat Kiye Gaye Jo Apko Na-Pasand The, Jab Sawalat Zaida Hone Lage To Aap Naraz Ho Gaye, Phir Logo Se Farmaya Jo Chaho Mujhse Pochlo, Phir Ek Shakhs Ne Arz Ki Ke Mera Baap Kaun Hai? Aap Ne Farmaya Tumhara Baap Huzaafa Hai. Phir Ek Dusra Admi Ne Arz Ki “Mera Bap Kaun Hai”? Aap Ne Farmaya Tumhara Baap Saalim Sebha Ka Azaad Karta Ghulam Hai. Jab Hazrat’e Umer ( radi allahu anhu ) Ne Aap Ke Cheher’e Per Gazab Ke Asaar Dekhe, To Arz Kiya Ke Hum Allah Ki Taraf Tauba Karte Hai.
[ Sahih Bukhari , Kitaabool Ilm , Safa Number. 21, Hadees No. 96 ]

2)Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Makhlook Ki Ib’tida Se Le Kar Logo Ke Jannat Aur Dozakh Mein Jaane Tak Ki Khabre Di. Tariq Bin Shahab Rehmat Ullah Se Marwi Hai, Unhone Ne Kaha Mene Hazrat E Umer Ko Sunna Woh Farmate Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Humare Darmiyan Ek Baar Khade Hue Aur Makhlook Ki Paidaish Ki Ibteda Ke Mutaliq Humme Khabar Di Yaha Tak Ke Jannati Aapne Aur Jahanummi Aapne Theekano Mein Puhuch Gaye. Isse Jisne Yaad Rakha To Yaad Rakha Aur Jo Bhool Gaya Woh Bhool Gaya.
[ Sahih Bukhari : Hadees No. 3192 ]

3) Qayamat Tak Ke Tamam Wakiyat Ka Bayan : Hazrat’e Huzefa ( Radi Allahu Anhu ) Ne Farmaya, Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Ek Aisa Khutbaa Diya Jisme Qayamat Ki Koi Cheez Bayan Karna Na Chordi. Usse Jaana, Jisne Jaana, Aur Jo Na Jann Sakka So Na Jann Sakka. ( Un Batai Hui Baat’o Mein Se Bhooli Hui Kisi Cheez Ko Jab Hote Hue Dekhta Ho To Pehechan Leta Ho Jaise Admi Aapne Se Bichdi Hui Cheez Ko Dekhte Hi Pehchan Leta Hai.
[ Sahih Bukhari : Kitaab Ul Qadr : Hadees No. 6604 ]

4) Hazrat E Asma Binte Abi Bakar ( Radi Allahu Anhu ) Se Riwayat Hai , Woh Farmati Hai Mein Zojaa’e Nabi Hazrat E Aisha Radi Allahu Tala Unha Ke Pass Us Waqt Aai Jab Suraj Jo Girhan Lag Chukka Tha, Aur Log Namaz Ke Qiyam Mein The Aur Hazrat E Aisha Bhi Namaz Mein Qiyam Ki Halat Mein Thi, Mene Unse Kaha Log Kis Liye Namaz Parh Rahe Hai Unhone Asmaan Ki Taraf Ishara Kiya Aur Kaha Subhan Allah, Mene Kaha Kya Koi Nishaani Hai Unhone Sir Se Ishara Kia, Haan. Iske Baad Mein Bhi Namaz Ke Liye Khadi Ho Gai Itni Der Tak Ke Mujh Per Behoshi Taari Hone Lagi. Aur Mein Aapne Sir Per Paani Daalne Lagi , Namaz Ke Baad Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Allah Tala Ki Hamd O Sana Ki Phir Farmaya “ Koi Cheez Aisi Nahi Jo Mene Na Dekhi Thi Magar Is Jagah Khade Ho Kar Dekh Li, Yaha Tak Ke Jannat Aur Dozakh Bhi
“ [ Sahih Bukhari : Kitabul Salat : Hadees No. 1053 ]

5) Hazrat E Anas ( Radi Allahu Anhu ) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Hazrat E Zaid Jaffar Aur Ibne Ravaahaa ( Radi Allahu Tala Unhum ) Ki Maut Ki Khabar Aane Se Pehle Logo Ko Unki Maut Ki Khabar Di, Is Tarha Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Farma Rahe The “ Janda (flag) Zaid Ne Pakda Hai Aur Woh Shaheed Ho Gaye, Phir Jaffar Ne Liya Hai Aur Phir Woh Bhi Shaheed Ho Gaye, Phir Ibne Rawahaa Radi Allahu Tala Anhu Ne Liya Aur Woh Bhi Shaheed Ho Gaye “ Aur Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Ankhe Aashk Baha Rahi Thi, Phir Farmaya, Yaha Tak Ke Janda Allah Ki Talwaaro Mein Se Ek Talwaar Ne Liya ( Yaani Khalid Bin Walid Radi Allahu Tala Unhu ) Hat’ta Ke Allah Ne ( Musalmao Ko ) In ( Kaafiro ) Per Fatah Di.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Maghazi : Hadees No. 4262 ]

6) Hazrat E Ibne Abbas ( Radi Allahu Anhu ) Riwayat Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Do Qabro Ke Pass Se Guzre To Farmaya “ Unhe Azaab Ho Raha Hai Aur Kisi Kabeera Gunah Ke Baais Nahi, In Mein Se Ek To Peshab Ke Chitt’o Se Nahi Bachta Tha, Aur Dusra Chugliya Khata Phirta Tha.” Phir Ek Sabz Te’heni Li Aur Uske Do Hisse Kr Ke Har Qabar Per Ek Hissa Gaadh Diya . Logo Ne Arz Ki Ya Rasool Allah ! “ Aisa Kyu Kiya?” Aap Ne Farmaya , “ Jab Tak Yeh Khushk Na Ho Inke Azaab Mein Takfeef Rahegi.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Wuzu : Hadees No. 218 ]

7) Hazrat E Anas Bin Malik ( Radi Allahu Tala Unhu ) Ne Farmaya Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Humme Namaz Parhai Phir Member Per Jalwa Afroz Ho Kr Farmaya Ke Mein Tumhe Peeche Se Bhi Is Tarha Dekhta Ho Jis Tarha Samne Se Tumhe Dekhta Ho.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Salat : Hadees No. 419 ]

8) Hazrat E Abu Hurera Ra Se Marwi Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Faramaya Tum Kya Yeh Hi Dekhte Ho Ke Mera Muh Idar Hai, Allah Ki Kasam Na Mujh Per Tumhara Koi Khushu Poshida Hai Aur Na Hi Tumhare Ruku, Mein Tumhe Peet Ke Peche Se Bhi Dekhta Ho.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Salat : Hadees No. 418 ]

9) Hazrat’e Ukhbaa Bin Aamir ( Radi Allahu Anhu ) Se Marwi Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ek Din Tashreef Le Gaye Aur Ahle Uhud Per Namaz E Janaza Ki Tarha Namaz Padi Phir Member Per Wapas Hue Phir Farmaya “ Houz E Kausar Per Tumhari Madad Ke Liye Mein Pehle Puhuchne Wala Hon, Mein Tumhara Gawah Ho Aur Allah Ki Kasam ! Mein Aapne Houz Ko Is Waqt Dekh Raha Ho, Aur Mujhe Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Di Gai. Allah Ki Kasam Mujhe Yeh Darr Nahi Ke Tum Log Mere Baad Shirk Karoge Lekin Mujhe Yeh Darr Hai Ke Duniya Ke Maal Ko Ek Dusre Se Hasil Krne Ki Lalach Karoge.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Janaiz : Hadees No. 1344 ]

10) Hazrate Sahl Bin Saad Farmate Hai Ke Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Gazwa E Khaibar Ke Roz Farmaya Kal Mein Janda Aise Shakhs Ko Duga Ke Allah Uske Hath Per Fat’ta Ata Farmayega, Woh Allah Aur Uske Rasool Se Muhabbat Karta Hai Aur Allah Aur Uska Rasool Use Muhabbat Karte Hai. ( Raawi Ka Bayan Hai Ke ) Logo Ne Raat Badi Bechani Mein Guzari Ke Dekhiye Ke Janda Kisko Ata Kiya Jaata Hai, Jab Subha Hui To Log Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Kidmat Mein Hazir Hue Saare Yehi Tamana Le Kr Aaye The Ke Janda Mujhe Mil Jaye, To Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya Ali Ibne Abi Talib Kaha Hai? Arz Ki Gai Ya Rasool Allah ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Unki Ankhe Dukhti Hai, Phir Unhe Bulaya Gaya, Woh Hazir E Khidmat Hue To Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Unki Dono Ankho Mein Lu’aab E Dahaan Lagaya , Aur Unke Liye Dua Farmai, Woh Aise Shifa’yab Hue Goya Unhe Sire Se Takleef Hui Hi Na Thi, Phir Nabi E Karim ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Unhe Janda Ata Farmaya.
[ Sahih Bukhari : Kitabul Maghazi : Hadees No. 4210 ]

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL