English : 26/04/24   Hijri : 

Asmani Kitaab’en 

1) Allah Ne Jitney Sahife Aur Kitaabe Asmaan Se Naazil Farmai Hain Sab Haq Hain Aur Sab Allah Ka Kalam Hain, In Kitaabon Mein Jo Kuch Irshad E Khudawandi Hua Sab Per Emaan Lana Aur Unko Sach Manna Zaroori Hain.
(النبراس، بیان الکتب المنزلۃ،ص۲۹۰)

Kisi Ek Kitaab Ka Inkaar Krna Kufr Hain.
(الشفاء بتعریف حقوق المصطفی صلی اللہ علیہ وسلم، فصل واعلم ان من استخف بالقرآن، الجزء الثانی، ص۲۶۴)

Haan Yeh Ek Haqeeqat Hain Ke Agli Kitaabo Ki Hifazat Allah Ne Ummaton Ke Hawale Farmai Thi Magar Un Ummaton Se Un Kitaabon Ki Hifazat Naa Ho Sakki. Balke Shareer Logo Ne Un Kitaabon Mein Apni Khuwahish Ke Mutabik Kami Aur Zaidati Kardi, Lihaza Jab Koi Baat Un Kitaabon Ki Humare Samne Pesh Ho To Woh Agar Quran Majid Ke Mutabik Hon Jab To Hum Uski Tazdik Karenge Aur Agar Woh Quran Majid Ke Mukhalif Hon To Hum Yakeen Kr Lenge Ke Yeh Shareer Logo Ki Tehreef ( Change ) Hain, Aur Hum Us Baat Ko Radh Kr Denge Aur Agar Mukhalif Ya Mutabik Kuch Bhi Maloom Naa Hon To Yeh Hukm Hai Ke Hum Us Baat Ki Naa Tazdeek Karen Naa Takzeeb ( Naa Jhootlayen ) Karen. Balke Yeh Keh Denge Ke Allah Aur Uske Farishton Aur Uski Kitaabon Aur Uske Rasool’on Per Humara Emaan Hain.
(تفسیر روح البیان، پ۱۴،الحجر:۹،ج۴،ص۴۴۳۔۴۴۴/ تفسیر الخازن، پ۱۴، الحجر:۹،ج۳،ص۹۵)


2) Deen E Islam Humesha Rehne Wala Deen Hain Lihaza Quran Majid Ki Hifazat Ki Zimmedaari Allah Ne Ummat Ke Hawale Nahi Farmai Balke Iski Hifazat Khud Allah Ne Apne Zimmen Rakhi Hain, Lihaza Quran Majid Mein Irshad Farmaya Ke, اِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّکْرَ وَ اِنَّا لَہٗ لَحٰفِظُوۡنَ 9)
Tarjuma : Beshak Humne Quran Utara Aur Yakeenan Hum Khud Iske Nighebaan ( Hifazat Karne Wale ) Hain.
(پ14،الحجر:9)

Is Liye Quran Majid Mein Koi Kami Ya Zaidati Kr Denyeh Muhaal ( Naa-mumkin ) Hain. ۔
(حاشیۃ الجمل علی الجلالین،پ۱۴،الحجر:۹،ج۴،ص۱۸۳)

Aur Joy Eh Kahen Ke Quran Mein Kisi Ne Kuch Rad O Badalya Kam Ya Zaida Kar Diya Hain Who Kaafir Hain.
(الشفاء بتعریف حقوق المصطفی صلی اللہ علیہ وسلم، فصل واعلم ان من استخف بالقرآن، ص۲۶۴)


3) Agli Kitaab’e Sirf Nabi’on Ko Hi Yaad Hua Karti Thi , Lekin Yeh Humare Nabi Sallalhu Alaihi Wasalam Aur Quran Ka Mojizaa Hain Ke Quran Majid Ko Musalman Ka Bacha Bacha Yaad Kar Leta Hain.
(تفسیر روح البیان، پ۲۱،العنکبوت:۴۹،ج۶،ص۴۸۱/ تفسیر الخازن، پ۲۷،القمر:۱۷،ج۴،س۲۰۴)

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL