English : 25/04/24   Hijri : 

Sahabi 

Defination: Humare Huzoor Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ko Jin Khush Naseeb Musalmano Ne Emaan Ki Halat Mein Dekha Aur Emaan Per Hi Unka Khatima Hua Un Buzurgon Ko Sahaabi Kehte Hain.
(فتح الباری شرح صحیح البخاری،کتاب فضائل اصحاب النبی صلی اللہ علیہ وسلم ، باب فضائل اصحاب النبی صلی اللہ علیہ وسلم ومن صحب النبی صلی اللہ علیہ وسلم…الخ، ج۸،ص۳۔۴ )

In Hazrat Ka Darjah Sari Ummat Mein Se Sab Se Zaida Buland Hain Yaha Tak Ke Barde Barde Darjeh Ke Auliya Bhi Kisi Kam Se Kam Darjeh Ke Sahabi Ke Martabe Tak Nahi Puhcuhte.
(بہارشریعت،ج۱،ح۱،ص۷۴)

In Sahaba Mein Darajaat Ke Lihaaz Se Sab Se Barhd Kr Chaar ( 4 ) Sahabi Hain:-
A) Hazrat E Abu Bakr Siddiq ( Radi Allahu Tala Anhu ), Yeh Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ke Baad Unke Janasheen Hue, Aur Deen E Islam Ki Jar’on ( Roots ) Ko Mazboot Kiya Isiliye Yeh Khalifa E Awal Kehlate Hain. Nabi’on Ke Baad Tamam Ummat Mein Yeh Sab Se Afzaal Wa Aala Hain.
B) Inke Baad Hazrat E Umer ( Radi Allahu Tala Anhu ) Ka Darjah Hain, Yeh Humare Rasool Sallalahu Alahi Wasalam Ke Dusre Khalifa Hain. C) Inke Baad Hazrat E Usman ( Radi Allahu Tala Anhu ) Ka Darjah Hain, Yeh Humare Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ke Teesre Khalifa Hain.
(سنن ابی داؤد، کتاب السنۃ ، باب فی التفضیل ، رقم ۴۶۲۸،ج۴،ص۲۷۳)
D) Inke Baad Hazrat E Ali ( Radi Allahu Tala Anhu ) Ka Martaba Hain, Yeh Humare Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ke Chhouthe ( 4th ) Khalifa Hain.
(المواہب اللدنیۃ ، المقصد السابع فی وجوب صحبتہ صلی اللہ علیہ وسلم ، الفصل الثالث، عثمان وعلی ، ج۳،ص۳۸۹)

Aqida: Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ki Nizbat Aur Taluq Ki Wajah Se Tamam Sahaba Ka Adab Aur Ahteraam Aur In Buzurgon Ke Saat Muhabbat Wa Aqeedat Tamam Musalmano Per Farz Hain Issi Tarha Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ki Aal Wa Aulaad Aur Biwiya Aur Ahle Bait Aur Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Ke Khandan Wale Aur Tamam Woh Cheeze Jinko Nabi E Karim Sallalahu Alahi Wasalam Se Nizbat Wa Taluq Ho Sab Ki Taazim Wa Ahteraam Laazim Hain.
(المواہب اللدنیۃ، المقصد السابع فی وجوب صحبتہ صلی اللہ علیہ وسلم ، الفصل الثالث، حب الصحابۃ وعلاماتہ ، ج۳،ص۳۹۳)

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL