English : 25/04/24   Hijri : 

Nabowat Wa Risaalat 

1) Allah Ne Apne Bandon Ki Hidayat Ke Liye Bahot Se Paighambaro Ko Duniya Men Bheja. Yeh Sab Paighambar Tamam Gunaho Se Paak Hain.
(المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، الکلام علی العصمۃ ، ص۲۲۷)

• Aur Allah Ke Bahot Hi Neik Bande Hain, Allah Ke Sab Paighambaro Ka Yehi Kaam Hain Ke Woh Allah Ke Paigham Aur Uske Ahkam Ko Bando Tak Puhuchate Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ،کتاب مبحث النبوات،ص۱۴۰ )

• Allah Ne In Paighambaro Ki Sachai Zaahir Karne Ke Liye Inke Hatho Per Aisi Aisi Herat Aur Tajjub Mein Daalne Wali Cheese Zaahir Farmai Jo Bahot Hi Mushkil Aur Adat Ke Khilaaf Hain. Jo Dusre Log Nahi Kar Sakte. In Cheezo Ko ( Moujiza ) Kehte Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ ، والنوع الثانی خبر الرسول المؤید بالمعجزۃ ، ص۱۷، مبحث النبواۃ ، ص۱۳۵)

• Jaise Hazrat’e Moosa Alaihi Salam Ka Asaa Ke Who Azdaaha Bann Kar Feron Ke Samne Jadoogaro Ke Sapon ( Snake ) Ko Nigal Gaya.
(روح البیان،طٰہٰ:۷۰،ج۵،ص۴۰۵)

• Aur Hazrate Essa Alaihi Salam Ka Murdo Ko Zinda Karna.
(پ۳،اٰل عمران:۴۹)

• Aur Humare Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ka Chand Ko Do (2) Tukhde Kr Dena.
(المواہب اللدنیۃ المقصد الرابع فی المعجزات ،الفصل الاول فی معجزاتہ صلی اللہ علیہ وسلم ،ج۲،ص۵۲۳)

• Doobe Hue Suraj Ko Wapis Lauta Dena.
(المواہب اللدنیۃ المقصد الرابع فی المعجزاتہ صلی اللہ علیہ وسلم ،ج۲،ص۵۲۸۔۵۲۹)

• Kankario Se Apna Kalma Parhdwa Lena.
(الخصائص الکبری،با ب التسبیح الحصی والطعام،ج۲،ص۱۲۵)

• Unglio Se Paani Ka Chashma Jaari Kar Dena.
(صحیح البخاری، کتاب المناقب ، باب علامات النبوۃ فی الاسلام ،رقم ۳۵۷۶،ج۲،ص۴۹۳)

• Yeh Sab Mujizaat Hain, In Paighambaro Ko Nabi Kehte Hain. Aur In Nabio Men Se Jo Khuda Ki Taraf Se Koi Naai ( New ) Asmani Kitaab Aur Naai Shariat Le Kr Aayen, Woh Rasool Keh Laate Hain.
(النبراس، تعریف الرسول صلی اللہ علیہ وسلم ،ص۵۴/ المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، الکلام علی العصمۃ ، ص۲۳۱)

• Nabi Sab Mard The, Naa Koi Jinn Nabi Hua Naa Koi Aurat.
(پ۱۴،النحل:۴۳/ تفسیر بیضاوی مع حاشیۃ محی الدین شیخ زادہ ، ج۵،ص۲۷۴)
• Nabi Sab Insaano Se Zaida Aqalmand Hote Hain. Aur Be-aib Bhi.
(المسامرۃبشرح المسایرہ،شروط النبوۃ،ص۲۲۶)


2) Sab Se Pehle Paighambar Hazrat Adam Alaihi Salam Hain. Aur Sab Se Aakhari Paighambar Hazrat Muhammad Mustafa ( Sallalahu Alaihi Wasalam ) Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ ، اول الانبیاء آدم علیہ السلام واخرھم محمد علیہ السلام ،ص۱۳۶)

• Aur Baki Tamam Nabi Wa Rasool In Dono Ke Darmiyan Hue. In Paighambaro Mein Se Jo Bahot Mashurr Hai Aur Quran Majid Aur Ahadees Mein Jin Ka Bar Bar Zikr Aya Hai Who Yeh Hai.
A) Hazrat E Nooh Alaihi Salam
(پ۱۷، الانبیآء : ۷۶)
B) Hazrat E Ibrahim Alaihi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۶۹)
C) Hazrat E Ismail Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۸۵)
D) Hazrat E Ishaak Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۷۲)
E) Hazrat E Yakoob Alaihi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۷۲)
F) Hazrat E Yasuf Alaihi Salam
(پ۱۲،یوسف:۴)
G) Hazrat E Dawood Alaihi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۷۹)
H) Hazrat E Sulaiman Alaihi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۸۱)
I) Hazrat E Aiyub Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۸۳)
J) Hazrat E Moosa Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۴۸)
K) Hazrat E Haroon Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیاء:۴۸)
L) Hazrat E Zakariya Alaihi Salam
(پ۷،الانعام:۸۵)
M) Hazrat E Yahya Alahi Salam
(پ۷،الانعام:۸۵)
N) Hazrat E Essa Alaihi Salam
(پ۷،الانعام:۸۵)
O) Hazrat E Elyaas Alaihi Salam
(پ۷،الانعام:۸۵)
P) Hazrat E Yassa Alahi Salam
(پ۷،الانعام:۸۶)
Q) Hazrat E Yunus Alahi Salam
(پ۷،الانعام:۸۶)
R) Hazrat E Loot Alahi Salam
(پ۷،الانعام:۸۶)
S) Hazrat E Idrees Alahi Salam
(پ۱۷،الانبیآء :۸۵)
T) Hazrat E Saleh Alaihi Salam
(پ۱۹،النمل:۴۵)
U) Hazrat E Hood Alaihi Salam
(پ۱۹،الشعرآء: ۱۲۴)
V) Hazrat E Shoaib Alahi Salam
(پ۱۲،ھود:۸۴)
W) Hazrat E Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wassalam
(پ۴،اٰل عمران:۱۴۴)


3) Nabi O Per Allah Ne Jo Sahife Aur Asmani Kitaabe Utari .
(النبراس ، بیان الکتب المنزلۃ، ص۲۹۰)

In Men Se 4 Bahot Mashoor Hain:-
a) Touret – Hazrat E Moosa Alaihi Salam Per.
(پ۶،المائدۃ:۴۴)
b) Zuburr – Hazrat E Dawood Alahi Salam Per.
(پ۱۵،بنی اسرائیل:۵۵)
c) Injeel – Hazrat E Essa Alahi Salam Per.
(پ۶،المائدۃ:۴۶)
d) Quran E Majid Jo Sab Se Afzal Kitaab Hain, Woh Sab Se Afzal Rasool Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasalam Per.
(پ۲۹،الدھر:۲۳)


4) Khuda Ke Nabi’o Ki Tadad Khaas Karni Jayez Nahi. Kyu Ke Is Bare Mein Mukhtalif Riwayyat’e Aai Hai. Aur Nabi’o Ki Kisi Khaas Tadaad Per Emaan Lane Mein Yeh Ahtimaal ( Doubt ) Hain Ke Kisi Nabi Ki Nabowat Ka Inkaar Ho Jaye. Ya Ghair E Nabi Ko Nabi Mann Liya Jaye Aur Yeh Dono Baate Kufr Hain, Isliye Yeh Aqida Rakhna Chahiye Ke Allah Ke Har Nabi Per Humara Emaan Hain.
(شرح العقائد النسفیۃ، مبحث اول الانبیاء آدم علیہ السلام ،ص۱۳۹۔۱۴۰/الفتاوٰی الرضویہ الجدیدۃ، کتاب السیر ، ج۱۵،ص۲۴۸/شرح الملا علی القاری علی الفقہ الاکبر، الانبیآء منزھون عن الکبائر والصغائر، ص۵۷/الشفاء فصل فی بیان ما ھو من المقالات کفر ، ص۲۴۵)


5) Musalman Ke Liye Jis Tarha Allah Ki Zaat O Sifaat Per Emaan Lana Zaroori Hai, Isi Tarha Har Nabi Ki Nabowat Per Bhi Emaan Lana Zaroori Hai. 6) Har Nabi Aur Farishte Ka Masoom Hona Zaroori Hain, Nabi Aur Farishte Ke Siwa Koi Masoom Nahi.
(النبراس ، مبحث مسئلہ عصمۃ الانبیاء علیہم السلام ،ص۲۸۳النبراس ، مبحث الملائکہ علیہم السلام ،ص۲۸۷)

• Imaamo Ko Nabi’o Ki Tarha Masoom Samjhna Bad’deeni Wa Gumrahi Hain.
• Nabi’o Aur Farishto Ka Masoom Hone Ka Yeh Matlab Hain Ke Allah Ne In Hazraat Ko Gunaho Se Mehfooz Rakhne Ka Wada Farma Liya Hain. Is Sabab Se In Hazraat Ka Gunah Men Mublata Hona Shar’an Muhaal ( Naa’mumkin ) Hain. Bar-Khilaaf Imaamo Aur Auliya Ke. Allah Inhe Gunaho Se Bachata Hain Lekin Agar Kabhi In Hazraat Se Koi Gunah Saadir Ho Jaye To Yeh Shar’an Muhaal ( Naa-Mumkin ) Nahi.
(بہارشریعت،ج۱،ح۱،ص۱۳)


6) Allah Ne Paighambaro Per Shariat Ke Jitney Ahkaam Tableegh Ke Liye Naazil Farmayen Un Paighambaro Ne Un Tamam Hukm’o Ko Khuda Ke Bandon Tak Puhucha Diya Hain.
(الیواقیت والجواہر ، المبحث الثانی والثلاثون فی ثبوت رسالۃ نبینا محمد صلی اللہ علیہ وسلم، ج۲،ص۲۵۲)

Jo Shakhs Yeh Kahen Ke Kisi Nabi Ne Kisi Hukm Ko Takiya Yani Khauf Ki Wajah Se Ya Aur Kisi Wajah Se Chuppa Liya Aur Khuda Ke Bandon Tak Nahi Puhuchaya Woh Kaafir Hain.
(المعتقد المنتقد مع المستند المعتمد، منہ تبلیغ جمیع ما امروا بتبلیغہ، ص۱۱۳۔۱۱۴)


7) Hazraat E Ambiya Alaihi Mussalaam Ke Jismo Ka Bars Wa Jazaam Wagera Aise Amraaz Se Jinse Nafraat Hoti Hai Paak Hona Zaroori Hain.
(المسامرۃ بشرح المسایرۃ ، شروط النبوۃ ، ص۲۲۶)


8) Allah Ne Apne Nabi’o Khass Kar Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wassalam Ko Bahot Si Ghaib Ki Baato Ka Ilm Ata Farmaya Hai.
(پ۴،اٰل عمران: ۱۷۹/پ۵،النسآء :۱۱۳)

Yaha Tak Ke Zameen O Asmaan Ka Har Zarra Har Nabi Ki Nazro Ke Samne Hain. Magar Ambiya Alaihi Mursalaam Ka Yeh Ilm E Ghaib Allah Ki Ata Farmane Se Hain.
(پ۷،الانعام:۵۰/پ۲۹،الجن:۲۶۔۲۷.)

Lihaza Inka Ilm Ata’ie Hua. Aur Allah Ke Ilm Ka Ata’ie Hona Muhaal Yaani Naa-Mumkin Hain. Kyun Ke Allah Ka Koi Kamal Kisi Ka Diya Hua Nahi Ho Sakta. Balke Allah Ka Ilm Aur Uska Har Kamal Zaatti Hain.
(پ۷،الانعام:۵۹/پ۲۲،سبا:۳/پ۱۱،یونس:۲۰)

• Allah Aur Nabi’o Ke Ilm E Ghaib Mein Ek Bahot Badha Farak To Yehi Hain Ke Nabi’o Ka Ilm E Ghaib, Ata’ie ( Allah Ka Diya Hua ) Hain. Aur Allah Ka Ilm E Ghaib Zaatti Hain Yaani Kisi Ka Diya Hua Nahi Hain. Kahan Atai Aur Kaha Zaatti Dono Men Barda Farak Hain. Jo Log Ambiya Balke Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wassalam Ke Mutlaq Ilm E Ghaib Ka Inkaar Krte Hain Who Quran Ki Baaz Ayaat’o Ko Mante Hain, Aur Baaz Ayaat’o Ke Saat Kufr Krte Hain.
(پ۱،البقرۃ:۸۵)

• Quran Majid Men Dono Kisam Ki Ayaat’e Hain, Baaz Ayaat’o Mein Yeh Hai Ke Khuda Ke Nabi’o Ko Ilm E Ghaib Haasil Hain Aur Baaz Ayaat’o Mein Yeh Hai Ke Allah Ke Siwa Kisi Ko Bhi Ilm E Ghaib Nahi Hain. Bila Shuba Yeh Dono Ayaat’e Haq Hain Aur In Dono Ayaat’o Per Emaan Laana Aur Musalman Ke Liye Zaroori Hain Aur In Dono Ayaato Mein Se Kisi Ka Bhi Inkaar Krna Kufr Hain. Jahan Jahan Quran Men Yeh Hai Ke Nabi’o Ko Ilm E Ghaib Haasil Hain Iska Yehi Matlab Hain Ke Nabio Ko Khuda Kea Ta Farmane Se Ghaib Ka Ilm Haasil Hain Aur Jahan Jahan Quran Men Yeh Hai Ke Allah Ke Siwa Kisi Ko Bhi Ilm E Ghaib Nahi Hai Uska Yehi Matlab Hain Ke Begair Allah Ke Bataye Hue Kisi Ko Bhi Kisi Cheez Ka Ilm E Ghaib Haasil Nahi Hain. Hargiz Hargiz In Dono Kisam Ki Ayaat’o Mein Koi Takrao Nahi Hain. 10) Ambiya Alaihimusalaam Tamam Makhlooq Yaha Tak Ke Farishto Ke Rasool’on Se Bhi Afzaal Hain.
(بہارشریعت،ج۱،ح۱،ص۱۵).

• Wali Kitne Hi Barde Martebe Wala Hon Magar Hargiz Hargiz Kisi Nabi Ke Barabar Nahi Ho Sakta Jo Kisi Ghair E Nabi Ko Kisi Nabi Se Afzaal Ya Barabar Batayen Who Kaafir Hain.
(الشفاء بتعریف حقوق المصطفی ، فصل فی بیان ماھومن المقالات کفر ، ص۲۵۱)


9) Hazrat E Amibya Alahimusalaam Ke Mukhtaliq Darjeh Hain , Allah Ne Ek Ko Dusre Per Fazilat Di Hain. (پ۳،البقرۃ:۲۵۳) Sab Se Afzaal Aur Aala Humare Nabi Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alaihi Wasalam Hain.
(پ۲۲،سبا:۲۸/شرح العقائدالنسفیہ،مبحث افضل الانبیاء علیہم السلام،ص۱۴۱)
Phir Huzoor Ke Baad Sab Se Barda Martaba Hazrat E Ibrahim Alahi Salam Ka Hain. Phir Hazrat E Moosa Alahi Salam , Phir Hazrat E Essa Alahi Salam Aur Hazrat E Nooh Alahi Salam Ka Darjah Hain. Aur Yeh Panchon (5) Baki Tamam Ambiya Wa Mursalim Se Afzaal Hain.
(حاشیۃ الصاوی علی تفسیر الجلالین، پ۲۶،الاحقاف:تحت آیت ۳۵،ج۵، ص۱۹۴۷ / شرح الملاء علی القاری علی الفقہ الاکبر،تفضیل بعض الانبیاء علی بعض ،ص۱۱۶)


10) Tamam Ambiya Apni Apni Qabron Men Tamam Lawazim E Hayyat Ke Saat Zinda Hain.
(سنن ابن ماجہ، کتاب الجنائز ،باب ذکروفاتہ ودفنہ صلی اللہ علیہ وسلم ،رقم۱۶۳۷،ج۲،ص۲۹۱)
Allah Ne Inko Zindagi Ata Farma Di. Khuda Ke Nabi’o Ki Hayyaat, Shahid’on Ki Hayyaat Se Bhi Buland Hain.
(حاشیۃ الصاوی علی تفسیر الجلالین ،پ۳،آل عمران:۱۶۹،ج۱، ص۳۳۳، وآیت:۱۸۵،ج۱،ص۳۴۰)
Yehi Wajah Hain Ke Shaheed’on Ka Tarka ( Maal E Wirasat ) Taksim Kar Diya Jata Hain. Aur Unki Biwiya Iddat Ke Baad Dusro Se Nikkah Kar Sakti Hain. Magar Ambiya Alaihimusalaam Ka Naa Tarka Takseem Hota Hain Naa Inki Biwiya Iddat Ke Baad Dusro Se Nikkah Kar Sakti Hain.
(سنن ابن ماجہ،کتاب السنۃ ، باب فضل العلماء والبحث علی طلب العلم ، رقم ۲۲۳،ج۱،ص۱۴۵/صحیح مسلم، کتاب الجہاد والسیر، باب قول النبی صلی اللہ علیہ وسلم لانورث ، رقم ۱۷۵۹،ص۹۶۶) (پ۲۲،الاحزاب:۵۳/الخصائص الکبری ، باب اختصاصہ صلی اللہ علیہ وسلم،بتحریم النکاح ازواجہ من بعدہ ، ج۲،ص۱۹۰۔۱۹۱)


11) Humare Aqa Wa Maula Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alahi Wasalam “ Khatamun Nabiyeen” Hain, Yaani Allah Ne Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Zaat Per Nabuwat Ko Khatam Farma Diya. Huzoor Sallalahu Alahi Wasalam Ke Zamane Mein Yaa Iske Baad Qayamat Tak Koi Nabi Nahi Ho Sakta Jo Shakhs Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Zamane Mein Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Baad Kisi Ko Nabowat Milne Ko Mane Ya Kisi Naaye ( New ) Nabi Ke Aane Ko Mumkin Mane Woh Shakhs Kaafir Hain.
(پ۲۲، الاحزاب:۴۰،المعتقد المنتقد مع المستند المعتمد،تکمیل الباب ، ص۱۲۰)


12) Humare Rasool Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Allah Ne Jaaghte Mein Jism Ke Saat Makkah Mukarrama Se Bait Ul Mukaddas Tak Aur Waha Se Saato Asmaano Ke Upper Aur Waha Se Jahan Tak Allah Ko Manzoor Hua Raat Ke Ek Mukhtasar Hisse Mein Puhuchaya Aur Aap Sallalahu Alaihi Wasalam Ne Arsh O Kursi Aur Lohokalam Aur Khuda Ki Bardi Bardi Nishanio Ko Dekha. Aur Khuda Ke Darbaar Mein Aap Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Who Qurbe Khaas Haasil Hua Ke Kisi Nabi Aur Farishte Ko , Naa Kabhi Haasil Hua Naa Kabhi Haasil Hoga. Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Is Asmaani Safar Ko Mairaaj Kehte Hain.
(التفسیرات الاحمدیۃ ، بنی اسرآء یل تحت آیت :۱،مسئلۃ المعراج ، ص۵۰۲۔۵۰۵/ النبراس،بیان المعراج، ص۲۹۲۔۲۹۵)
Mairaaj Mein Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ne Apne Sar Ki Ankhon Se Allah Ka Deedar Kiya.
(پ۲۸،النجم:۱۳۔۱۷/فتح الباری شرح صحیح البخاری، کتاب مناقب الانصار، باب المعراج، رقم ۳۸۸۸،ج۸،ص۱۸۶)
Aur Begair Kisi Waaste Ke Allah Ka Kalam Sunna Aur Tamam Zameen O Asman Ke Zarre Zarre Ko Tafseel Ke Saat Mulahiza Farmaya۔
(روح المعانی، پ۶،النسآء:۱۶۴،ج۳،ص۲۸)


13) Humare Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Allah Ne Qayamat Ke Din Shafat E Qubra Aur Makaam E Mehmood Ka Sharf Ata Farmaya Hain. Jab Tak Humare Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Shafat Ka Darwaza Nahi Kholenge Kisi Ko Bhi Shafat Ki Majjal Naa Hogi Balke Tamam Ambiya Aur Mursaleem Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Hi Ke Darbaar Mein Apni Apni Shafat Pesh Karenge.
(روح البیان، پ۱۵،الاسراء:۷۹،ج۵،ص۱۹۲/ روح المعانی،پ۱۵، الاسراء:۸۹، ج۸،ص۲۰۲۔۲۰۴)
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Shafaat Ke Baad Tamam Ambiya Wa Auliya Aur Shuhda Wagera Sab Shafat Karenge.
(المعتقد المنتقد مع المستند المعتمد ، تکمیل الباب ، ص۱۲۹)


14) Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Muhabbat Emaan Ka Madaar Balke Asal Emaan Hain, Jab Tak Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Muhabbat Maa Baap Aulad Balke Tamam Jahan Se Zaida Naa Hon Koi Shakhs Kaamil Musalman Nahi Ho Sakta
(پ۱۰،التوبۃ:۲۴/ صحیح البخاری، کتاب الایمان، باب حب الرسول صلی اللہ علیہ وسلم من الایمان،رقم ۱۵،ج۱،ص۱۷)


15) Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Taazim Har Musalman Per Farz Hain Balke Emaan Ki Jaan Hain.
(پ۲۶،الفتح:۹/الشفاء بتعریف حقوق المصطفی صلی اللہ علیہ وسلم،الجزء الثانی، فصل واعلم ان حرمۃ النبی صلی اللہ علیہ وسلم، ص۳۲ )
Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Tamam Sahaba Wa Ahle Bait Aur Tamam Taluq Rakhne Walon Se Muhabbat Rakhen Aur In Sab Ki Taazim Karen Aur Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Tamam Dushmano Se Dushmani Rakhen Agar Che Woh Apna Baap Ya Beta Ya Rishtedaar Hi Kyu Na Hon. Isliye Key Eh Mumkin Hi Nahi Hain Ke Rasool Se Muhabbat Bhi Ho Aur Unke Dushmano Se Ulfaat Bhi.
(الشفاء بتعریف حقوق المصطفی صلی اللہ علیہ وسلم ،الجزء الثانی ، فصل فی علامات محبتہ صلی اللہ علیہ وسلم ،ص۲۱/ پ۲۸،المجادلۃ:۲۲/ پ۱۰،التوبۃ:۲۳)


16) Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Allah Ke Naaib E Mutlaq Hain. Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ka Farman Allah Ka Farmaan Hain, Aur Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Farmabarddari Allah Ki Farmabarddari Hain. Aur Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Naa-Farmani Allah Ki Naa-Farmani Hain.
(پ۵،النسآء:۸۰) (المعجم الاوسط ، من اسمہ ابراہیم ، رقم ۲۴۰۱،ج۲،ص۳۲)

Tamam Jahan Ko Allah Ne Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Ikhtiyaar Mein Diya Hain Aur Asmaan Wa Zameen Ke Tamam Khazano Ki Khonjiya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Hatho Mein De Kar Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Apni Tamam Naimato Ko Aur Ataao Ka Qasim ( Takseem Karne Wala ) Bana Diya Hain.
(صحیح مسلم ،کتاب الفضائل ، باب اثبات حوض نبینا صلی اللہ علیہ وسلم وصفاتہ ، رقم ۲۲۹۶،ص۱۲۵۸/ المواہب اللدنیۃ ، الفصل الثانی ، اعطی مفاتیح الخزائن ، ج۲،ص۶۳۹)
Har Kisi Ki Ataaye Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Hi Ke Darbaar Se Taksim Hoti Hain.
(صحیح البخاری، کتاب العلم ، باب من یرد اللہ بہ خیرا یفقھہ فی الدین ، رقم ۷۱،ج۱،ص۴۲)


17) Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Kisi Qaol Wa Fail Wa Amal Aur Halat Ko Jo Hikaarat Ki Nazar Se Dekhen, Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Shaan Mein Koi Adnaa ( Choti ) Si Ghustakhi Ya Tohin Wa Be-Adabi Karen Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ko Jhootlaaye Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ke Kalam Mein Shakh Karen Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Mein Koi Aib Nikale Ya Huzoor Sallalahu Alaihi Wasalam Ki Kisi Sunnat Ko Bura Samjhe Ya Mazak Urdaye Woh Se Khaarijh Aur Kaafir Hain.
(حاشیۃ الصاوی علی تفسیر الجلالین ، پ ۱۸ النور:۶۳،ج۴،ص۱۴۲۱/الشفاء بتعریف حقوق المصطفی صلی اللہ علیہ وسلم ، الجزء الثانی ، فصل فی بیان ماھو من المقالات کفر، ص۲۴۶) (البحرالرائق ، کتاب السیر ، با ب احکام المرتدین، ج۵،ص۲۰۳۔۲۰۴/ الفتاوی الھندیہ ، کتاب السیر ، الباب التاسع فی احکام المرتدین مطلب موجبات الکفرانواع ، ج۲،ص۲۶۳۔۲۶۴)

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL