English : 18/04/24   Hijri : 

Farishte 

1) Khuda Ki Touhid Aur Uske Rasool’on Per Emaan Lane Ke Saat Saat Farishton Ke Wajood Per Bhi Emaan Lana Zarooriyat’e Deen Mein Se Hain. Farishto Ke Wujood Ka Inkaar Krna Kufr Hain.
(الفتاوی الرضویۃ الجدیدۃ ، ج۲۹،ص۳۸۴)


2) Allah Ne Apni Kuch Makhlokat Ko Noor Se Paida Kar Ke Unko Humari Nazro Se Chupa Diya Hain Aur Unko Yeh Takat Di Hain Ke Who Jis Shakal Mein Chahen Us Shakal Mein Zaahir Ho Jayen, Woh Kabhi Insaan Ki Shakal Ikhtiyaar Kar Lete Hain, Aur Kabhi Dusri Shakalon Mein Zaahir Hote Hain.
(الیواقیت والجواہر، المبحث التاسع والثلاثون فی بیان صفۃ الملا ئکۃ واجنحتھاوحقائقھا۔۔۔الخ،الجزء الثانی ،ص۲۹۵/النبراس،مبحث الملائکۃعلیہم السلام،ص۲۸۷)


3) Farishte Allah Ki Masoom Makhlooq Hain Woh Wohi Karte Hain Jo Khuda Ka Hukm Hota Hain Woh Khuda Ke Hukm Ke Khilaaf Kabhi Kuch Nahi Karte. Woh Har Kisam Ke Chote Barde Gunah’on Se Paak Hain.
(پ۲۸،التحریم:۶/ النبراس،مبحث الملائکہ علیہم السلام، ص۲۸۷)


4) Allah Ne In Farishton Ko Mukhtalif Kaamo Mein Laga Diya Hain Aur Jin Jin Ko Jo Kaam Karne Ka Hukm Diya Hain Who In Kaamo Mein Lage Hue Hain. Farishton Ki Taadad Allah Hi Janta Hain, Jisne Unko Paida Farmaya Hain Aur Allah Ke Batane Se Rasool Bhi Jante Hain. In Mein Chaar Farishte Bahot Mashhoor Hain, Jo Sab Farishton Se Afzaal Aur Aala Hain:- A) Jibrail Alahi Salam B) Hazrat E Mikaeeil Alahi Salam C) Hazrat E Israafeel Alahi Salam D) Hazrat E Izraeel Alahi Salam.
(پ۳۰،النّٰزعٰت:۱۔۵ / التفسیر الکبیر، المسألۃ فی شرح کثرۃ الملائکۃ، ج۱،ص۳۸۶)


5) Kisi Farishte Ki Shaan Mein Adnaa Si Ghustakhi Karne Se Admi Kaafir Ho Jata Hain.
(مجمع الانھر، کتاب السیر والجھاد، باب المرتد، ثم ان الفاظ الکفر انواع، ج۲،ص۵۰۷/ البحرالرائق، کتاب السیر ، باب احکام المرتدین ، ج۵،ص۲۰۴۔۲۰۵)

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL