English : 19/04/24   Hijri : 

Darood O Salaam 

Darood (Salat) Maa’ena: Dua Karna, Namaz , Tasbeeh, Rahmat.

Har Lafz Ke Do Maa’ena (Meaning) Hote Hai:
a) Haqiqi. b) Majazi.

Salat Ka Haqiqi Maa’ena – Dua
Salat Ka Mazajiz Maa’ena–Namaz.

Jab Salat Ka Haqiqi Maiyna Muraad Ho To Iski 3 Kisam’E Banti Hai:
a) Jab Salat Ki Nisbat Insaan Ki Taraf Ho To Iska Maiyna Hota Hai Rehmat Talab Karna.
b) Jab Salat Ki Nisbat Firishto Ki Taraf Ho To Iska Meaning Hota Hai Dua-E-Istikfaar Karna.
c) Jab Salat Ki Nisbat Allah Ki Janib Ho To Iska Meaning Hota Hai Rahmat Naazil Karna.

Salaam Maa’ena: Salaamati Ki Dua Dena .

Quran Sharif Mein Darood O Salam:
Khuda Aur Us Ke Farishte Paigambar Par Darood Bhaijte Hain. Mominoun Tum Bhi Paigambar Par Darood Aur Salaam Bhaija Karo.
[ Surah e Azaab, Ayaat : 56 ]

Ahle Sunnat Val Jammat Ka Aqeeda :
Quran O Hadees Ki Roshni Mein , Ahle Sunnat Wal Jammat Ka Yeh Aqeeda Hai Nabi E Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Zaat e Mubarika Per Darood O Salaam Jis Waqt Bhi Parha Jaye, Jin Alfaaz Ke Saat Parha Jaye, Jayez Hai . Kisi Khass Waqt Mein Hi Parhna , Ya Ki Si Khass Waqt Mein Na Parhne Ki Mana ( Mumaniyat ) Nahi .

Proofs:
Fa’Ail Ee Mamoor Bihi: Jin Kaamo Ka Allah Ne Hukm Farmaya .
Inki 2 Tarha Ki Kismi Hoti Hain:
a) Mutlakh A’Aninl Waqt : Allah Ne Jis Kam Ki Adaiygi Ke Liye Koi Waqt Mukarar Na Kia Ho. For Example: Darood O Salaam, Maa- Baap Ki Farma Bardari , Imaan Lana , Naafil .

b) Mukayyad Bil Waqt : Yani Voh Ahkam Jinhe Kisi Khass Waqt Ke Ander Ada Karna Ho, Ya Allah Ne Us Ki Adaiygi Ka Koi Khass Vaqt Mukarar Kia Ho. For Example: Namaz, Roza, Hajj.

Explanation:
Jo Ibadat Mutlakh Aaninl Waqt Hai In Ki Adaigi Ke Liye Mukkalaf ( Musalaman Jo Aqil Balig Ho) Aapni Marzi Se Koi Bhi Waqt Mukarar Kar Sakta Hai . Is Guftufoo Ke Baad Yai Baat Wazah Hogai Ky Chunkay Durood Shareef (Mutlak Aainil Waaqt Ibaadat) Hai Lihaaza Har Perdhny Wala Isy Apni Saholat Ke Mutabik Kisi Bhi Waqt Pardh Sakta Hai , Or Dalaily Sharaeeya Se Saabit Hai Ke Nafli Ibadat Ke Liaya Apny Ijtihaad (Apni Merzi) Se Koi Bhi Waqt Muqarar Kia Ja sakta Hai Or Yai Taaiyeen(Muaiyan O Mukarer Kerna) Urfi Hota Hai Na Ky Sharaaee (Yani Jisy Allah Ny Mukarer Kia Ho Or Insan Uska Paband Ho Or Isi Pe Sawab Ka Milna Moukoof Ho) Ki Terhaa Nai Hota. Proofs From Ahadees: Shariat Ki Rooh Se Nafli Rooza Har Din Rakha Ja Sakta Hai Lekin Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Peer (Monday) Ka Rooza Rakha Karte The. Isi Tarha Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Sanicher (Saturday) Ke Din Masjidy Kubaa Jaya Karte The, Jab ke Masjidy Kubaa Ki Ziyaaarat Ek Nafli Ebaadat Hai Jise Har Rooz Kiya Ja Sakta Hai Lekin Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Saturday Ke Din Ko Is Ziyarat Ke Liye Khass Kr Liya Tha.
[ Bukhari, Hadees No. 1193 ]

Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Har Hafte Ke Din Masjidy Kuba Paidal Jaya Karte The, Isi Tarha Hazrat’e Abdullah Bin Umer Bhi Hafte Ke Din Masjide Kuba Ki Ziyarat Ko Jaya Karte.
[ Bukhari, Hadees No. 1193 ]

Hazrate Bilal Radi Allahu Unhu Ne Apne Ijtihad Se Wuzu Ke Baad Nafil Pardhne Ko Mukerar Kar Liya Tha Or Is Silsilay Mein Unho Ne Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Istifsaar (Poocha) Bhi Nai Kiya BalkeNabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Unke Is Amal Ki Tareef Farmai Or Umat Ke Liya Rehnumai Farmai Ke Nafli Ibadat Ke Liya Apne Ijtihaad (Marzi) Se Waqt Muqarar Karna Jaiz Hai. Imam Bukhari Riwayat Krty Hain, Hazrat Abu Huraira Radi Allaho Unho Se Riwayat Hai Ke Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Hazrat’e Bilal Se Subha Ki Namaz Ke Waqt Pocha “Ae Bilal Tum Ne Kon Sa Aisa Amal Kia Hai Jiske Sawab Ki Tumko bahot Ziyada Tawaku Hai Ku Ke Mai Nay Jannat Mein Apne Aage Tumhare Chalny Ki Aahet Suni” Hazrat Bilal Ne Arz Kia, “Is Se Ziyada Mere Nazdeek Koi Amal Laiyak E Kubool Nai Ke Mai Din Ya Raat Mai Jab Bhi Wuzoo Karta Hon To Us Wuzoo Sy Nafil Namaz Pardh Laita Hon.
[ Bukhari, Hadees No. 1149 ]

Conclusion: Maloom Hua Ke Nawafil Ke Liya Koi Khaas Waqt Muqarar Nahi Hai Lekin Hazrat Bilal Ne Har Wuzoo Ke Baad Nafil Pardhne Ko Khud Pe Laazim Kar liya Or Nabi e Karim (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Apko Is Kaam Se Manaa Na Farmana Is Ke Jaiz Hone Ki Daleel Hai Isi Terha Salatu Salaam Bhi Pardhny Ke Liya Joi Waqt Sharan Muqarar Nahi Ku Ke Quraan Mai Allah Ny Salato Salaam Ka Hukm Mutlaak Farmaya Hai.

facebook
facebook
Online Fatwa
Translate Into Different Languages
Rough Translation
Video Gallery
snaimg
S.N.A HOSPITAL